POETRY PAGE

Kashif's HomePage | About Myself | Moonlight at Concordia | Poetry Page | E-Cards Page | Favorite Links Page | Northern Beautiful Mountains ..Of Pakistan | Picture Gallery Of Pakistan | Historic Places Of Pakistan | Place Your Comments Here | Adventurous Photographs Of K-2 and Etc.. | My Friend's Pictures | UnForgetable Words.. | Poems Of My friends | Friendship Quoatations Page

Zindagi



Zindagi say dertay ho
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Aadmi say dertay ho
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain
Aadmi zabaan bhi hai
Aadmi byaan bhi hai
Is say tum nahin dertay
Herf -o-maani ker rishta-e-hai
Say Aadmi hai wabasta
Aadmi kay daman say
Aadmi hai wabasta
Is say tum nahin dertay
Unkehi say dertay ho
Jo abhi nahin aiee
Uss gheri say dertay ho?
Uss gheri ki ammad ki
Aagahi say dertay ho?
Tum mager yeh kya jano
Lab ager nahin hiltay
Hath jaag uthtatay hain!
Rooh ki zabaan bunker
Raah Ka nishaan Bun Ker
Roshni Say dertay ho?
Roshni to tum Bhi ho!
Roshni to hum bhi hain
Shehr ki fasiloon per
Daiv ka jo saya tha
Paak ho gya aakhir
Khaak ho gya aakhir
Raat Ka libadah bhi
Chaak ho gya aakhir
Aysdahaam-eInsaan say
Ferd ki Nawa aiee
Zaat ki nawa aiee
Rah-e-shooq mein Jaisay
Rah rokakhoon lapkay
Ik nayaa Janoon Lapkay
Aadmi chalak uthey
Aadmi hansay daikho
Sheher bhi basay daikho
Tum abhi say dertay ho?
Haan Abhi to tum bhi ho!
Haan abhi to hum bhim hain
Tum abhi say dertay ho?




Dukh

Pochany waley tujhey kaisay bataein Aakhir
Dukh ibarat to nahin jo tujhey likh ker bhaijain
Yeh kahani bhi nahin Keh sunain tujh ko
Nah koiee baat hi aisi keh bataein tujh ko
Zakhm ho to teray nakhun keh hawaley ker dain
Aaiena(mirror)bhi nahin hai keh dikhayein tujh ko
Tu nay poochaa hey mager kaisay bataein tujh ko
Yeh koie raaz nahin jis ko chupaein ,to woh raaz
Kabhi kabhi aakhoon say chalak jata hai
Jaisay aanchal ko sambhalay huay koiee aur taiz hawa
Jab bhi chalti hai to shanoon say Dhalak Jata hai
Ab tujhey kaisay bataein keh hamein kya dukh hai



 


--------{Maan Kay Liyeh Aik Nazum}--------
Shehray jafa mein pyaar ka samaan mairy maan
Roz-e-azal say aas ka armaan,mairy maan
Mein hoon nigar-e-Khana-e-hasti mein motaber !!
Mujh per khuda ki zaat ka ehsaan,mairy maan
Maan kay baghair doosra koiee nahin mera !
Mairay her aik dard ka dermaan,mairy maan
Maan nay khyaal-o-Khawaab ko bakhshi hai zindagi !
Mujh per habib-e-paak(SAW) ka faizaan ,mairi Maan
Daikho Shab-e-firaaq say hara nahin hoon mein
Likho mairi duaa,maira Imaan,Mair maan





---------------{Udaas}---------------
Tu jo nahin to bin teray shamein udaas hain
Dhoondain tujhey kahaan kahaan aankhain udaas hain

Ik Chand he nahin hai jo poochay tera pata
Daikha nahin hai jo tujhey rahain udaas hain

Jin say thi teri dosti roti hain zaar zaar
Tu jo nahin hai teri jafain udaas hain

Tujh say jo itna pyaa tha hern shay lagi bahaar
Tu jo nahin hai pass to ratain udaas hain

Teray situm kay faiz say in per bhi tha nikhaar
Teray baghair ab meri ahain udaas hain

Mein he nahin udaas hoon taray bhi hain udaas
Hum jin peh chal rahey they woh rahain udaas hain

Aa keh saher tujhey kabhi daiti thi lorian
Tu jo nahin saher ki yeh batein udaas hain

Wapis zamen peh loat keh woh aain gay muneer
Bhaiji thi jo woh sari duayain udaas hain